
Hussain naam hai sajde me sar katane ka
Hussain naam hai sajde me sar katane ka
Hussain naam hai, jungle me ghar lutane ka,
Hussain naam hai, gum khake muskarane ka,
Hussain naam hai, has has ke jakhm khane ka,
Hussain naam hai, firdaus ki baharo ka,
Hussain naam hai, jannat ke gulzaro ka,
Hussain naam hai, shamsho qamar ke taaro ka,
Hussain naam hai, Quran ke tees paaro ka,
Hussain noor e rukh Mustafa ko kehte hai,
Hussain rooh e dil Bibi Fatima ko kehte hai,
Hussain chasm e Nabi ki ziya ko kehte hai,
Hussain paikar e shabro raza ko kehte hai,
Hussain mazhar e zaat e Khuda ko kehte hai,
Hussain khalq ke haazat rawa ko kehte hai,
Hussain dard ko dil ko dua ko kehte hai,
Hussain asl me deen e khuda ko kehte hai,
Hussain hauslaye inqalab deta hai,
Hussain shamma nahi aftab deta hai,
Hussain husn e payambar ki jao ko kehte hai,
Hussain sina e Hyder ki lau ko kehte hai,
shaher ki dhoop utari har ashiyane me,
Lahu se jisne ujala kiya zamane me,
Hussain silsila e zabta hai rehmat ka,
Hussain nukta e meraj hai Risalat ka,
hussain azm ko jabtaak naak karta hai
jala ke khirmane baatil ko khaak karta hai,
Hussain saiyye tazalli me kamyab hua,
lahu me doobkar ke ubhra to aftab hua,
Husain subah jaha taab ki alamat hai,
Hussain hi ko bhula de ye kya qayamat ha